Daanton Ko Dobara Uganay Keliye Anmool Amal
Daanton Ko Dobara Uganay Keliye Anmool Amal |
Daant Qudrat ka anmol tohfa hain jo khoobsurti ke sath sath achi sehat ke zamin bhi hotay hain kisi baligh insaan ka Daant toot jaye to takleef dah surgery ke zariye Daant lagana parta hai jis par bhaari akhrajaat hotay hain lekin ab jadeed tareeqon ki bajaye Qudrati tareeqay se apne Daant khud ugaye jasaktay hain.
Stem Cells ke zariye 9 Months mein Qudrati tor par
Daant ugana mumkin hai Stem Cells woh Cells hain jo jism ke kisi bhi uzoo mein
mojood khuliyaat bananay ki silahiyat rakhtay hain agar koi Daant toot jaye to
is ke nichle hisay mein mojood khaali masorhay ke andar Stem Cells aur tissue
ka milaap karne se Daant dobara ugna shuru ho jatay hain yeh khuliyaat ko janam
dete hain aur naya Daant bananay mein madad dete hain is amal mein kam se kam 9
Weeks lagtay hain lekin yeh kamyab amal hai is se baar baar Doctor ke paas jane
ki zarorat nahi hoti aur masnoi Daanoton se bhi chhutkara mil jata hai.
Jadeed Medical Technology ke zariye masnoi Daant Ugana
ab mushkil ya takleef dah nahin raha aur Daant bhi aisay jo bilkul asli nazar
aiyen. Qudrat ki anmol Naimat Daant, jin ki ahmiyat ka andaza Amooman usi waqt
hota hai jab yeh (Mouth) moun mein nahi rehtay kuch arsa pehlay tak Daant
nikalne ki soorat mein masnoi Daant ya khaali jagah par burj bana kar laga dena
hi is ka ilaaj samjha jata tha aur yeh khasa takleef dah bhi tha. Lekin jadeed
medical Science ki badolat Qudrati Daanoton se ke mutabadil aisay masnoi Daant
haasil karna jo Qudrati Daanoton jaisay hi hoon, ab namumkin nahi raha, is
tareeqa kar mein tootay hue Daant ki jagah isi jaisa masnoi Daant bana kar
jabray ki haddi ke sath makhsoos alaat ki madad se lagaya jata hai aur ahem
baat yeh hai ke is saaray amal ke douran aur baad mein bhi mareez intehai kam
takleef se guzarta hai.
Diabities aur Dil ke mareezon ke ilawa sehat mand
jabron aur hadiyon ke hamil tamam afrad masnoi Daant bina kisi dar ke ba aasani
lagwa satke hain. jitni jaldi mumkin ho bachay ke Daant saaf karna shuru kar
dain, aap ko yeh tasali karna ho gi ke aap ke bachay ke moun ka andar wala hisa
saaf hai. jab bacha 3 mahinay ka ho jaye to har martaba Doodh pilanay ke baad
bachay ke masooron ko halke geelay kapray se ahistagi se saaf karen. Jonhi
bachay ka pehla Daant zahir ho aap toothbrush ka istemaal shuru kar satke hain.
Chhoti umr mein hi bachay ke Daant mein khor parna (ECC) ka kharab hona jis ko
nursing bottle ka Syndrome bhi kaha jata he. ECC nomolood aur baray bachoon ke
Daanoton ki khatarnaak bemari hai.
ECC bottle ya chhaati (Chest) ke Doodh se bhi paida
hoti hai, yeh us waqt paida hoti hai jab bachay ke Moun ke andar ki safai ka
khayal na rakha jaye raat ko sotay waqt ziyada tar bachay ghizayat ki zaroorat
Snacks se hi pori karte hain. Uski wajah yeh hai ke un ka chhota sa Maida
(Stomach) bara khana khanay ka mutahamil nahi ho sakta is baat ki tasali kar
lain keh pora din bachay ko sehat mand Snacks khanay ko dain. Meethi ashiya
bachay ko sirf inaam ke tor par dain.
Har martaba Snack khanay ke baad narmi se bachay ke
Daant saaf karen. jab bacha Daant chipkanay wala meetha khata hai jaisay Candy
ya Maiwajaat waghaira to us soorat mein Moun aur Daanoton ka saaf karna aur bhi
zaroori ho jata hai.
Agar Snack khanay ke baad bachay ke Daant saaf nahi kiye jatay to usay Glass mein Pani peenay ko dain. Is tarha karne se Daanoton se chipki Cheeni saaf ho jaye gi aur Daant keera lagnay se mehfooz rahin gey.
Allah hum sab ka Hami-O-Nasir ho. Ameeen
0 Comments