Hathon Ki Jild Ko Jawan Banayen
Rejuvenate the skin of the hands
Insaan ke hathon se is ki Umr ka andaza lagaya ja sakta hai, mahireen ka kehna hai ke hamari Umr bherne ka assar sab se pehlay hathon par hota hai. aisa hi kuch is khatoon ke sath bhi huwa jo 46 saal ki honay ke bawajood is ke haath 70 saal ke lag rahay thay lekin phir is ne un ki hifazat ki thaani.
Aayiye aap ko aisay nuskhay batatay hain jis ke istemaal se aap ke haath khobsorat honay ke sath naujawanon ki tarha lagnay lagen ge. Jin logon ki jald boorhi lagti hai unhen yeh nuskha zaroor aazma chahiye aur jo log apne hathon ko khoobsurat rakhna chahtay hain un ke liye yeh bohat mufeed saabit hoga.
Anday (Eggs):
Aik kahnay ka chamach (Teaspoon) aur Anday ki safedi (Albumen) le kar mix karen aur is amezay ko apne hathon par lagayen. Khushk honay par haath dho len, is ki wajah se hathon ki num barqarar rahay gi aur jald khobsorat hogi .
Aalo (Potatoes):
Is ki wajah se aap ke Haath Naram o Mulaim ho jayen ge. kuch Aalo Ubalain aur ubalnay ke baad pees len, ab is mein aik bara chamach Zaitoon (Olive Oil) ka tail, Shehad (Honey) aur doodh (Milk) milaain aur achi tarha mix karlen. ab is amezay ko fridge mein rakhen aur haftay mein 3 teen baar usay hathon par laga kar 15 minute ke liye chor dein. kuch hi hafton mein aap ko wazeh farq nazar aaye ga.
Lemon aur Cheeni (Lemon And Sugar):
Aadhay Lemoo ka ras nikaal kar is mein do barray chamach Cheeni (Sugar) ke dalain aur hal honay par hathon par lagayen. khushk honay par hathon ko sabun se dho len.
Also Read: Whitening Formula in Just 10 Minutes
Badam (Almond) Ka Tail:
Raat ko sotay hue apne hathon ko badam ke tail mein daboein aur is ke baad 5 paanch minute tak thanday pani mein rakhen. ab koi grace Cream lagayen aur Cotton ke dastanay (Gloves) pehan kar so jaen. Agli subah aap ke haath Naram O Mulaim ho chukay hon ge.
Petroleum Jelly:
Raat ko sotay hue apne hathon par petroleum jelly lagayen aur Cotton ke dastanay (Gloves) pehan lain. Agli subah aap ke haath par Naram O Mulaim ho jaen gey.
- hand eczema treatment
- hand eczema
- dry hands care
- hand lotion
ڈسکلیمر:
ہر معلومات مختلف ذرائع سے آپ کے علم کے لئے حاصل کی جاتی ہے ۔ یہ پیشہ ورانہ طبی مشورہ یا علاج کا حامل نہیں ہے۔
Disclaimer:
Every information is collected through different sources only for your knowledge it does not constitute professional medical advice or treatment.
0 Comments