Amazing tricks for physical health
Jismani Sehat Ke Liye Hairan Kun Tricks, Aazma Kar Dekhain
Amazing tricks for physical health |
Hamara Jism kisi Ajjobay se kam nahi jis ke mutadid af-aal pur asraar andaaz se kaam karte hain aur sehat ke liye faida mand bhi saabit hotay hain. aaj darj zail mein kuch aisi tricks batayi ja rahi hain jin ke istemaal se aap apni sehat mein behtari mehsoos karen ge.
Benefits of Exercise
Asaab (Nerves) Ko Pursukoon Karen
Agli baar kisi baray kaam se pehlay jaisay Taqreer ya Interview wagaira se pehlay nervous ho rahay hoon to yeh aasaan tarkeeb aazma kar dekhain, apne angothay par saans ko chorain, yeh heran kun to lag sakta hai magar is se saans regulate hoti hai aur asaab par control milta hai, jis se dil ki dharkan sust aur nervous honay ke ehsas se nijaat mil jati hai.
Adhay Sar Ke Dard Se Nijaat
Adwiyaat khanay ke bawajood aksar adhay sar ke dard ka shikaar rehtay hain, to jism ke pressure points ko dabana is bad tareen sar dard se nijaat dilanay mein madadgar saabit ho sakta hai. agar aik haath ke angothay aur shahadat ki ungli se dosray haath ke angothay aur shahadat ki ungli ke darmiyan jagah ko 2 minute tak daba kar rakha jaye, jis ke dooran unglio ko narmi se gool ghumayen, is se sar aur gardan ki janib se khoon ki gardish barhti hai.
Secandoon (Seconds) Mein Daanton Ke Dard Se Nijaat
Daant mein takleef aksar zehen ko sun kardainay aur intehai aziyat naak tajurbah saabit hota hai. agli baar jab yeh dard aap ko shikaar kere to aik Ice Cube ko apne haath ki pusht par rakhen aur usay angothay aur shahadat ki ungli ke darmiyani hissay par ragrain. sunne mein to ajeeb lagey ga magar yeh jagah aasabi guzar gaahon se bhari hai jo ke haath aur chehre se dard ke signal dimagh ki janib bhaijti hai, is ka darja hararat kam karne se dard ka signal bock hojaye ga aur arzi relief mil jaye ga.
Galay ki kharash (Sore Throat) mein relief
Galay ki kharash (Sore Throat) par qaboo panay ka raaz dar haqeeqat kaan mein chhupa hota hai, jee haan waqai, agar galay mein kharash ho to kaan ko kheenchain ya is mein ungli daal kar phairen, jab kaan ke asaab mein tahruk paida hota hai to galay mein aik reflex paida karte hain jis se muscles sukarte hain aur kharaash se relief milta hai.
Also Read: Weight Loss Tips - Dieting Tips
Naak Kholna
Agar Naak band hogayi hai aur saans lene mein mushkil ka saamna hai to Zuban ko oopar ki jagah Munh ki chhat par dabaien, jis ke baad bhawon (Eyebrow) ke darmiyan ki jagah ko aik ungli se dabaien, is se woh hadi jo naak ki guzargah se guzarti hai, agay peechay hoti hai, yeh amal 20 seconds tak karne se Naak khul jaye gi.
0 Comments